Mehfil-e-Gazal #420
Home |
March 2000 Index
Date: 8-Mar-2000
Poet: Meraj Faizabadi
Another ghazal from 'Saher'. To read other poems
by Meraj Faizabadi, go to:
http://www.urdupoetry.com/meraj.html
tere baare me.n jab sochaa nahii.n thaa
mai.n tanhaa thaa magar itanaa nahii.n thaa
terii tasviir se karataa thaa baate.n
mere kamare me.n aa_iinaa nahii.n thaa
sama.ndar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
mai.n jab seharaa me.n thaa pyasaa nahii.n thaa
manaane-ruuThane ke khel me.n ham
bichha.D jaaye.nge ye sochaa nahii.n thaa
sunaa hai band kar li us ne aa.Nkhe.n
ka_ii raato.n se vo soyaa nahii.n thaa
-------------------------------------------------
You can now read most of the ghazals in the
Urdu poetry archive in Devnagri (Hindi) script
at the following mirror site:
http://www.aczone.com/isongs/urdu/
A lot of kinks still need to be ironed out, so please
be patient. This is the first step...
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
March 2000 Index