Mehfil-e-Gazal #412
Home |
February 2000 Index
Date: 29-Feb-2000
Poet: Daag Dehlvi
A ghazal from Farida Khanum's album titled
'Excellence of Farida Khanum'
uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baa_is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
[uzr = excuse; baa_is = reason; tark = give up]
Khuub pardaa hai ke chilaman se lage baiThe hai.n
saaf chhupate bhii nahii.n saamane aate bhii nahii.n
ho chukaa qat'a-e-ta'alluq to jafaae.n kyo.n ho.n
jin ko matalab nahii.n rahataa vo sataate bhii nahii.n
[qat'a-e-ta'alluq = severing of connection/separation]
ziist se ta.ng ho ai "DaaG" to jiite kyo.n ho
jaan pyaarii bhii nahii.n jaan se jaate bhii nahii.n
[ziist = life]
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
February 2000 Index