Mehfil-e-Gazal #407
Home |
February 2000 Index
Date: 24-Feb-2000
Poet: Anees Ansari
tumhaare Gam kaa mausam hai abhii tak
lab-e-tashnaa pe shabanam hai abhii tak
[lab-e-tashnaa = thirsty lips]
safar me.n aabale hii aabale the
magar pairo.n me.n dam-Kham hai abhii tak
[aabalaa = blister; dam-Kham = strength]
tumhaare ba.nd dar mujh se Khafaa hai.n
mere jiine kaa maatam hai abhii tak
[dar = door; Khafaa = angry; maatam = mourning]
terii aab-o-havaa raas aa ga_ii thii
bichha.D jaane kaa kuchh Gam hai abhii tak
[aab-o-havaa = environment; raas aanaa = to find suitable]
ga_ii rut me.n hu_ii thii fasl achchhii
idhar paaniii giraa kam hai abhii tak
[rut = season; fasl = harvest]
mai.n Khud ko Dhuu.NDhataa phirataa huu.N sab me.n
junuu.N kaa ik aalam hai abhii tak
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
February 2000 Index