Mehfil-e-Gazal #399
Home |
February 2000 Index
Date: 16-Feb-2000
Poet: Faiz Ahmed Faiz
I apologize for the four day absence. I had to go
out of town suddenly. No more delays, hopefully!
dono.n jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke
viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke
[Khum = wine jar; saaGar = wine goblet]
ik fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausale parvar-digaar ke
duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil fareb hai.n Gam rozagaar ke
bhuule se muskuraa to diye the vo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke
[val-vale = ethusiasm; naa-kardaakaar = powerless/defeated]
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
February 2000 Index