Mehfil-e-Gazal #394
Home |
February 2000 Index
Date: 11-Feb-2000
Poet: Habib Jalib
dil kii baat labo.n par lakar ab tak ham dukh sahate hai.n
hamane sunaa thaa is dharatii pe dil vaale bhii rahate hai.n
biit gayaa saavan kaa mahiinaa mausam ne nazare.n badalii
lekin in pyaasii aa.Nkho.n me.n ab tak aa.Nsuu bahate hai.n
ek hame.n aavaaraa kahanaa ko_ii ba.Daa ilzaam nahii.n
duniyaa vaale dil vaalo.n ko aur bahut kuchh kahate hai.n
jis kii Khaatir shahar bhii chho.Daa jis ke liye badanaam huye
aaj vahii hamse begaane begaane se rahate hai.n
** The above sher seems to have something wrong with the
last 'misra' (line). Perhaps someone who has heard the ghazal
can provide us with the correct words**
vo jo abhi rahaguzar se chaak-e-garebaa.N guzaraa thaa
us aavaaraa diivaane ko "Jalib"-jaalib kahate hai.n
**I would have expected something less pedestrian from
Habib Jalib. The maqta (last sher) is disappointing, to say the
least**
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
February 2000 Index