Mehfil-e-Gazal #374
Home |
January 2000 Index
Date: 22-Jan-2000
Poet: Naresh Kumar 'Shad'
jab bhii us gul-badan kii yaad aa_ii
ho ga_ii pur-bahaar tanhaa_ii
chau.Nk uThe haadasaat duniyaa ke
mere ho.nTho.n pe jab ha.Nsii aa_ii
[haadasaat = calamities]
jab kisii ne tumhaaraa naam liyaa
jaane kyuu.N mujh ko apanii yaad aa_ii
dekh ai sheKh mere saaGar me.n
apanii jannat kii jalvaa-faramaa_ii
[saaGar = wine-cup/goblet; jalvaa-faramaa_ii = view/manifestation]
hosh me.n "Shad" jab tujhe paayaa
tujh me.n ham ne terii kamii paa_ii
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index