Mehfil-e-Gazal #372
Home |
January 2000 Index
Date: 20-Jan-2000
Poet: Miraji
nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa
apanii biitii jag biitii hai jab se dil ne jaan liyaa
ha.Nsate ha.Nsate jiivan biitaa ronaa dhonaa bhuul gayaa
a.Ndhyaare se ek kiran ne jhaa.Nk ke dekhaa sharmaa_ii
dhu.Ndh sii chhab to yaad rahii kaisaa thaa cheharaa bhuul gayaa
ha.Nsii ha.NSii me.n khel khel me.n baat kii baat me.n ra.ng gayaa
dil bhii hote hote aaKhir ghaav kaa risanaa bhuul gayaa
ek nazar kii ek hii pal kii baat hai Dorii saa.Nso.n kii
ek nazar kaa nuur miTaa jab ek pal biitaa bhuul gayaa
jis ko dekho us ke dil me.n shiavaa hai to itanaa hai
hame.n to sab kuchh yaad rahaa par ham ko zamaanaa bhuul gayaa
ko_ii kahe ye kis ne kahaa thaa kah do jo kuchh jii me.n hai
"Miraji" kah kar pachhataayaa aur phir kahanaa bhuul gayaa
-------------------------------------------------
Attention Javed Akhtar fans! Take a look
at this website dedicated to him, with
biographical information, lyrics, sound clips
and photographs.
http://www.javedakhtar.com
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index