Mehfil-e-Gazal #367
Home |
January 2000 Index
Date: 15-Jan-2000
Poet: Ahmed Faraz
qurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge
dil vo be-mehar ki rone ke bahaane maa.Nge
[qurbat = closeness; be-mehar = cruel]
apanaa ye haal ke jii haar chuke, luT bhii chuke
aur muhabbat vahii a.ndaaz puraane maa.Nge
ham na hote to kisii aur ke charche hote
khalkat-e-shahar to kahane ko fasaane maa.Nge
[khalkat-e-shahar = denizens of the city]
dil kisii haal pe maane hii nahii.n jaan-e-Faraz
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maa.Nge
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index