Mehfil-e-Gazal #363
Home |
January 2000 Index
Date: 11-Jan-2000
Poet: Ameer Kazalbash
aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah
raat jalatii hu_ii ik aisii chitaa hai jis par
terii yaade.n hai.n sulagate huye sa.ndal kii tarah
tuu ki dariyaa hai magar merii tarah pyaasaa hai
mai.n tere paas chalaa aa_uu.Ngaa baadal kii tarah
mai.n huu.N ik Khvaab magar jaagatii aa.Nkho.n kaa "Ameer"
aaj bhii log gavaa.N de na mujhe kal kii tarah
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index