Mehfil-e-Gazal #357
Home |
January 2000 Index
Date: 5-Jan-2000
Poet: Sardar Anjum
Gamo.n ne gher liyaa hai mujhe to kyaa Gam hai
mai.n muskuraa ke jiyuu.Ngaa terii Khushii ke liye
kabhii kabhii tuu mujhe yaad kar to letii hai
sukuun itanaa saa kaafii hai zindagii ke liye
ye vaqt jis ne palaT kar kabhii nahii.n dekhaa
ye vaqt ab bhii muraado.n ke phal laataa hai
vo mo.D jis ne hame.n ajanabii banaa Daalaa
us ek mo.D pe dil ab bhii gun-gunaataa hai
fizaaye.n rukatii hai.n raaho.n par jin se ham guzare
ghaTaaye.n aaj bhii jhuk kar salaam karatii hai.n
har ek shab ye sunaa hai falak se kuchh pariyaa.N
vafaa kaa chaa.Nd hamaare hii naam karatii hai.n
ye mat kaho ki muhabbat se kuchh nahii.n paayaa
ye mere giit mere zaKhm-e-dil kii rulaa_ii
ji.nhe.n tarasatii rahii anjuman kii rangiinii
mujh milii hai muqaddar se aisii tanahaa_ii
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index