Mehfil-e-Gazal #354
Home |
January 2000 Index
Date: 02-Jan-2000
Poet: Daag Dehlvi
Gam se kahii.n najaat mile chain paa_e.n ham
dil Khuun me.n nahaa_e to ga.ngaa nahaa_e.n ham
[najaat = freedom (from)]
jannat me.n jaa_e.n ham ki jahannum me.n jaa_e.n ham
mil jaa_e tuu kahii.n na kahii.n tujh ko paa_e.n ham
mumkin hai ye ki vaade pe apane vo aa bhii jaa_e
mushkil ye hai ki aap me.n us vaqt aa_e.n ham
naraaz ho Khudaa to kare.n ba.ndagii se Khush
maashuuq ruuTh jaa_e to kyo.n kar manaa_e.n ham
sar dosto.n ke kaaT kar rakkhe hai.n saamane
Gairo.n se puuchhate hai.n qasam kis kii khaa_e.n ham
sau.npaa tumhe.n Khudaa ko chale ham to naamuraad
kuchh pa.Dh ke baKhshanaa jo kabhii yaad aa_e.n ham
ye jaan tum na loge agar aap jaayegii
is bevafaa kii Khair kahaa.N tak manaa_e.n ham
ham-saaye jaagate rahe naalo.n se raat bhar
soye huye nasiib ko kyo.n kar jagaa_e.n ham
tuu bhuulane kii chiiz nahii.n Khuub yaad rakh
ai "Daag" kis tarah tujhe dil se bhulaa_e.n ham
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index