Mehfil-e-Gazal #353
Home |
January 2000 Index
Date: 01-Jan-2000
Poet: Sahir Ludhianvi
Wishing the members of Mehfil-e-Gazal a very happy
and prosperous New Year. Let's start off the new year
and new millennium with this nazm by Sahir Ludhianvi
titled "Ummiid"
Ummiid
vo subah kabhii to aaegii
in kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.Nchal dhalakegaa
jab dukh ke baadal pighale.nge jab sukh kaa saagar jhalakegaa
jab ambar jhuum ke naachegaa jab dharatii naGme gaaegii
vo subah kabhii to aaegii
jis subah kii Khaatir yug yug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
in bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam faramaaegii
vo subah kabhii to aaegii
maanaa ke abhii tere mere aramaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.n
insaano.n kii izzat jab jhuuThe sikko.n me.n na tolii jaaegii
vo subah kabhii to aaegii
daulat ke liye jab aurat kii ismat ko naa bechaa jaaegaa
chaahat ko naa kuchalaa jaaegaa, izzat ko naa bechaa jaaegaa
apanii kaalii karatuuto.n par jab ye duniyaa sharmaaegii
vo subah kabhii to aaegii
biite.nge kabhii to din aaKhir ye bhuuk ke aur bekaarii ke
TuuTe.nge kabhii to but aaKhir daulat kii ijaaraadaarii ke
jab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaaii jaaegii
vo subah kabhii to aaegii
majabuur bu.Daapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na pha.Nkegaa
maasuum la.Dakapan jab ga.ndii galiyo.n me.n bhiik na maa.Ngegaa
haq maa.Ngane waalo.n ko jis din sulii na dikhaaii jaaegii
vo subah kabhii to aaegii
faaaqo.n kii chitaao.n par jis din insaa.N na jalaae jaae.nge
siine ke dahakate dozakh me.n aramaa.N na jalaae jaae.nge
ye narak se bhii ga.ndii duniyaa, jab swarg banaaii jaaegii
vo subah kabhii to aaegii
jis subah kii Khaatir jug jug se ham sab mar mar ke jiite hai.n
jis subah ke amrit kii dhun me.n ham zahar ke pyaale piite hai.n
vo subah na aaye aaj magar, vo subah kabhii to aayegii
vo subah kabhii to aaegii
-------------------------------------------------
You can now hear poets reciting their own ghazals
and nazms on the Internet. Check out the updated
mushaira site:
http://mushaira.org/
-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/
Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com
Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------
Home |
January 2000 Index