Mehfil-e-Gazal #346

Home | December '99 Index



Date: 25-Dec-99
Poet: Unknown

Today's poem has been sung by Pankaj Udhas. The 
name of the poet is not known to me. I would appreciate 
it if someone can provide this information.


chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane 
ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa
chaa.Ndanii chhup ga_ii chaa.Nd sharmaa gayaa 
aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa

[ruKh = face]

dil kii dha.Dakan merii tez hone lagii 
raat aa.Nkho.n me.n kaaNTe.n chubhone lagii
vasl kii raat me.n baat hii baat me.n
yuu.N teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaa

[vasl = meeting/union]

jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii
raat apanii to karavaT badalate kaTii
kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n
kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa

apane hisse me.n tuufaa.N kii taqadiir thii
zindagii apanii maujo.n kii zanjiir thii
Duub jaane kaa apane hame.n Gam na thaa
us kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa

[saahil = shore]

-------------------------------------------------
I have received a lot of queries about online 
dictionaries. There are two sites that I am 
aware of:

Urdu dictionary in Romanized Urdu:
http://www.cs.wisc.edu/~navin/india/urdu.dictionary

English to Urdu dictionary:
http://host.bip.net/tracker/dict/index.html

Neither of the sites are comprehensive but are adequate.




Home | December '99 Index