Mehfil-e-Gazal #336
Home |
December '99 Index
Date: 15-Dec-99
Poet: Mazhar Imam
ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaauu.N mai.n
ki Khud ko yaad rakhuu.N us ko bhuul jaauu.N mai.n
[tajarubaa = experiment]
fareb-e-kaar me.n kuchh to hai ko_ii baat to hai
ki jaan buujh ke itane fareb khaauu.N mai.n
[fareb-e-kaar = one who betrays]
vo pal kahaa.N hai.n jo duniyaa se jo.Dataa thaa mujhe
jo paauu.N tujh ko to sab ke qariib aauu.N mai.n
kabhii to ho mere ehasaas-kam-tarii me.n kamii
kabhii to ho ki use khul ke aauu.N mai.n
vo shaKhs hai ki nasiim-e-sahar kaa jho.Nkaa hai
bikhar hii jaauu.N jo us ko gale lagaauu.N mai.n
[nasiim-e-sahar = morning wind]
azaa.N ke baad duaa ko jo haath uThaaye vo
"Imam" apanii namaaze.n bhii bhuul jaauu.N mai.n
[azaa.N = call for prayer]
Home |
December '99 Index