Mehfil-e-Gazal #255
Home |
August '99 Index
Date: 18-Aug-99
Poet: Zafar Kaleem
tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal
log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal
pahalaa haq thaa terii chaahat ke chaman par meraa
pahalaa haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haqadaar nahii.n
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal
[**Looking at the structure of this nazm, it seems like
the fourth line is missing from the above stanza. Does
anyone know if this is so?**]
mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaauu.N kaise
mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaauu.N kaise
merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad
mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad
apanii taqadiir banaa meraa muqaddar na badal
mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii
merii paravaaz se u.Nchii hai.n panaahe.n terii
aur Gairat-e-ehasaas pe sharmi.ndaa huu.N
ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii
ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal
Home |
August '99 Index