Mehfil-e-Gazal #239

Home | July '99 Index



Date: 27-Jul-99
Poet: Moin Ahsan Jazbi

Today's post is a nazm titled Death. 

apanii so_ii hu_ii duniyaa ko jagaa luu.N to chaluu.N
apane Gam_khaane me.n ik dhuum machaa luu.N to chaluu.N
aur ik jaam-e-may-e-talKh cha.Dhaa luu.N to chaluu.N
abhii chalataa huu.N zaraa Khud ko sambhaaluu.N to chaluu.N

[jaam-e-may-e-talKh = a goblet of bitter wine]

jaane kab pii thii abhii tak hai may-e-Gam kaa Khumaar
dhu.ndhalaa dhu.ndhalaa saa nazar aataa hai jahaan-e-bedaar
aa.Ndhiyaa.N chalatii hai.n duniyaa hu_ii jaatii hai Gubaar
aa.Nkh to mal luu.N zaraa hosh me.n aa luu.N to chaluu.N

[may-e-Gam = wine of sorrow; Khumaar = intoxication; dhu.ndhalaa = hazy]
[jahaan-e-bedaar = world of troubles; Gubaar = dust]

vo meraa saahir vo ejaaz kahaa.N hai laanaa
merii kho_ii hu_ii aavaaz kahaa.N hai laanaa
meraa TuuTaa huaa vo saaz kahaa.N hai laanaa
ik zaraa giit bhii is saaz pe gaa luu.N to chaluu.N

[saahir = magic; ejaaz = miracle; saaz = musical instrument]

mai.n thakaa haaraa thaa itane me.n jo aaye baadal
kisii matavaale ne chupake se ba.Dhaa dii botal
uff vo ra.ngiin pur-asaraar Khayaalo.n ke mahal
aise do chaar mahal aur banaa luu.N to chaaluu.N

[pur-asaraar = pleasing]

merii aa.Nkho.n me.n abhii tak hai muhabbat kaa Guruur
mere ho.nTho.n ko abhii tak hai sadaaqat kaa Guruur
mere maathe pe abhii tak hai sharaafat kaa Guruur
aise vahamo.n se bhii ab Khud ko nikaaluu.N to chaluu.N

[Guruur = pride; sadaaqat = truth]

-------------------------------------------------
Note:

In MeG #237, I may have inadvertently conveyed the 
impression that the poet Jamiluddin Aali was no longer 
with us. I have been told that he is very much alive and 
a venerable member of  the Pakistani Senate. 

The error is regretted.



Home | July '99 Index