Mehfil-e-Gazal #229
Home |
July '99 Index
Date: 13-Jul-99
Poet: Sir Mohammed Iqbal
ajab vaa_iz kii diin-daarii hai yaa rab
adaavat hai ise saare jahaa.N se
[vaa_iz = preacher/learned man; diin-daarii = religious preachings]
[adaavat = enmity]
ko_ii ab tak na ye samajhaa ki i.nsaa.N
kahaa.N jaataa hai aataa hai kahaa.N se
vahii.n se raat ko zulmat milii hai
chamak taaro.n ne paa_ii hai jahaa.N se
[zulmat = darkness]
ham apanii dard-ma.ndii kaa fasaanaa
sunaa karate hai.n apane raazadaa.N se
ba.Dii baariik hai.n vaa_iz kii chaale.n
laraz jaataa hai aavaaz-e-azaa.N se
[baariik = minute/ extremely small; laraz = waver]
[aavaaz-e-azaa.N = call for prayer/namaaz]
Home |
July '99 Index