Mehfil-e-Gazal #194
Home |
May '99 Index
Date: 24-May-99
Poet: Ahmed Rahi
dil ke sun-saan jaziiro.n kii Khabar laayegaa
dard pahaluu se judaa ho ke kahaa.N jaayegaa
kaun hotaa hai kisii kaa shab-e-tanha_ii me.n
Gam-e-furqat hii Gam-e-ishq ko bahalaayegaa
[shab-e-tanhaa_ii = lonely night; Gam-e-furqat = sorrow of separation]
chaa.Nd ke pahaluu me.n dam saadh ke rotii hai kiran
aaj taaro.n kaa fusuu.N Khaak nazar aayegaa
[fusuu.N = magic]
raakh me.n aag dabii hai Gam-e-maharuumii kii
raakh ho kar bhii ye sholaa hame.n sulagaayegaa
[maharuum = deprived]
vaqt Khaamosh hai ruuThe huye yaaro.n kii tarah
kaun lau dete huye zaKhmo.n ko sahalaayegaa
dhuup ko dekh ke us jism pe pa.Datii hai jhamak
chhao.n dekhe.nge to us zulf kaa dhyaan aayegaa
zi.ndagii chal ki zaraa maut kaa dam-Kham dekhe.n
varnaa ye jazbaa lahad tak hame.n le jaayegaa
[jazbaa = emotion; lahad = grave]
Home |
May '99 Index