Mehfil-e-Gazal #154
Home |
March '99 Index
Date: 22-Mar-99
Poet: Abdul Hameed 'Adam'
saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zi.ndagii
sahan-e-chaman me.n aake bahut Khush hai zi.ndagii
[saaGar = wine-glass]
aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man
tum ko qariib paake bahut Khush hai zi.ndagii
hotaa ko_ii mahal bhii to kyaa puuchhate ho phir
be-vajah muskuraa ke bahut Khush hai zi.ndagii
[mahal = opportunity or often (it has two meanings)]
saahil pe bhii to itanii shagufataa ravish na thii
tuufaa.N ke biich aake bahut Khush hai zi.ndagii
[saahil = shore; shagufataa = fresh
viiraan dil hai aur "Adam" zi.ndagii kaa raqs
ja.ngal me.n ghar banaake bahut Khush hai zi.ndagii
[raqs = dance; ja.ngal = forest]
Home |
March '99 Index