Mehfil-e-Gazal #113
Home |
January '99 Index
Date: 20-Jan-99
Poet: Jigar Moradabadi
saaqii kii har nigaah pe balakhaa ke pii gayaa
laharo.ns e khelataa huaa laharaa ke pii gayaa
bekaifiyo.n ke kaif se ghabaraa ke pii gayaa
taubaa ko to.D taa.D ke tharraa ke pii gayaa
[bekaifii = unintoxicating (unpleasant); kaif = intoxication]
zaahid ye merii shoKhii-e-ri.ndaanaa dekhanaa
rahamat ko baato.n baato.n me.n bahalaa ke pii gayaa
[zaahid = wise man; shoKhii = mischief/restlessness; ri.ndaanaa = drunk]
[rahamat = benevolence]
ai rahamat-e-tamaam merii har Khataa mua'af
mai.n i.ntahaa-e-shauq se ghabaraa ke pii gayaa
[Khataa = mistake; mu'aaf = pardon; i.ntahaa-e-shauq = limits of desire]
piitaa beGair izan ye kab thii merii majaal
dar-pardaa chashm-e-yaar shah paa ke pii gayaa
[izan = permission/order; majaal = dare; dar-pardaa = hidden]
[chashm-e-yaar = beloved's eyes]
us jaan-e-mayakadaa kii qasam baarahaa "Jigar"
kul aalam-e-bisaat pe mai.n chhaa ke pii gayaa
[jaan-e-mayakadaa = life of the win-house (saaqii); baarahaa = everytime]
[kul = whole; aalam-e-bisaat = complete universe]
Home |
January '99 Index