Mehfil-e-Gazal #108
Home |
January '99 Index
Date: 13-Jan-99
Poet: Khumar Barabanqvi
vo savaa yaad aaye bhulaane ke baad
zi.ndagii ba.Dh ga_ii zahar khaane ke baad
[savaa = more; zahar = poison]
dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad
aag Tha.nDii hu_ii ik zamaane ke baad
raushanii ke liye ghar jalaanaa pa.Daa
kaisii zulmat ba.Dhii tere jaane ke baad
[zulmat = darkness]
jab na kuchh ban pa.Daa arz-e-Gam kaa javaab
vo Khafaa ho gaye muskuraane ke baad
[arz-e-Gam = tale of woe; Khafaa = angry]
dushmano.n se pashemaaa.N honaa pa.Daa hai
dosto.n kaa Khuluus aazamaane ke baad
[pashemaa.N = shame; Khuluus = truth/strength of the relationship]
baKhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht
mujhako kyaa chaahiye tum ko paane ke baad
[baKhsh denaa = to grant; rab = God]
[ahal-e-havas = greedy people; bahisht = heaven]
kaise kaise gile yaad aaye "Khumar"
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
[qabl = prior to]
-------------------------------------------------
Site Update:
More Gazals by Khumar Barabanqvi have been
added to the archive. Read them at:
http://www.geocities.com/Tokyo/Ginza/6631/khumar.html
For other additions to Nita's Urdu poetry, go to:
http://www.geocities.com/Tokyo/Ginza/6631/new.html
Home |
January '99 Index