Mehfil-e-Gazal #81

Home | November '98 Index



Today's Poet is Khwaja Altaf Husain Hali. It is worth noting that
Hali was a disciple of no less a personage than Mirza Ghalib.


kahane kii baat ho to use kah sunaayiye
jo dil pe ban rahii ho, kyo.n kar dikhaayiye

duniyaa kii ho havas to dil-o-dii.n ga.Nvaayiye
yaa.N khoyiye bahut-saa to kuchh jaa ke paayiye

ye kyaa ki dil hai dair me.n aur ka'abe me.n maqaam
ho rahiye bas vahii.n ke, jahaa.N dil lagaayiye

gar jaan kaa zarar hai mohabbat me.n naaseho
ham jaan hii se baiThe hai.n bezaar jaayiye

aur aitabaar khote hii apanaa rahaa-sahaa
bas aa gayaa yaqii.n hame.n, qasame.n na khaayiye

hotii hujuum-e-Gam me.n hai, kyo.n zahar kii talaash
'Hali' bataaye.N aap ko, gar kuchh khilaayiye




Home | November '98 Index