Mehfil-e-Gazal #70
Home |
October '98 Index
A nazm by Tasleem Fazli. Mehdi Hasan has rendered the
same for the Pakistani film 'Afshan'. I have included the film
geet also for your reading pleasure.
Khudaa kare ki muhabbat me.n vo muqaam aaye
kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye
tumhaaraa pyaar mere gesuuo.n kii ulajhan ho
tumhaare vaaste dil kaa chiraaG roshan ho
sahar nazar se mile zulf leke shaam aaye
merii Khayaalo.n kii tasviir huu-ba-huu ho tum
mere huzuur nigaaho.n kii aarazuu ho tum
isii tarah se nigaah uThe salaam aaye
jahaa.N talak ye ha.Nsii guna-gunaatii raat chale
nazar nazar se mile, dil se dil kii baat chale
hamaare dil kii ta.Dap kuchh to apane kaam aaye
Mehdi Hasan's version for the film Afshan:
Khudaa kare ki muhabbat me.n ye muqaam aaye
kisii kaa naam luu.N lab pe tumhaaraa naam aaye
kuchh is tarah se jiiye zi.ndagii basar na hu_ii
tumhaare baad kisii raat kii sahar na hu_ii
sahar nazar se mile zulf leke shaam aaye
Khud apane ghar me.n vo mehamaan ban ke aaye.N hai.n
sitam to ye hai ki a.njaan ban ke aaye.N hai.n
hamaare dil kii ta.Dap aaj kuchh to kaam aaye
vahii hai saaz, vahii giit, vahii ma.nzar
har ek chiiz vahii hai nahii.n ho tum magar
isii tarah se nigaahe.n uThe salaam aaye
Home |
October '98 Index