The first of Faiz's poetry, for your reading pleasure... This is a delightful Gazal, sung by Farida Khanum in her inimitable style. yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa ra.ng saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal surKhii-e-lab pe pareshaa.N terii aavaaz kaa ra.ng bepiye ho.n ki agar lutf karo aaKhir-e-shab shiishaa-e-may me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa ra.ng cha.ngo-nay ra.ng pe the apane lahuu ke dam se dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa ra.ng [cha.ng= a type of musical instrument; nat = flute] ik suKhan aur ki phir ra.ng-e-takallum teraa harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa ra.ng [takallum = conversation; ejaaz = miracle] This ghazal is from Faiz's compilation "Sar-e-Vaadi-e-Seenaa".