sher ke parde me.n mai.n ne Gam sunaayaa hai bahut marsiye ne dil ko mere bhii rulaayaa hai bahut [marsiyaa = elegy/song of mourning] vaadii-o-kohasar me.n rotaa huu.N dhaa.De maar-maar dilbaraan-e-shahar ne mujh ko sataayaa hai bahut [vaadii = valley; kohasar = mountain; dhaa.De maar-maar ke ronaa = to cry very loudly] vaa nahii.n hotaa kisii se dil giriftaa ishq kaa zaahiraa Gam-gii.n use rahanaa Khush aayaa hai bahut [vaa = open; zaahiraa = in reality/in fact; Gam-gii.n = sad/drowned in sorrow] A qataah: phuul, gul, shams-o-qamar saare hii the par hame.n un me.n tumhii.n bhaaye bahut 'Meer' se puuchhaa jo mai.n aashiq ho tum ho ke kuchh chupake se sharmaaye bahut :-)