Meer Taqi Meer ki Gazal pesh-e-Khidmat hai: 'Mir' dariyaa hai, sune sher zabaanii us kii allaah allaah re tabiyat kii ravaanii us kii mi.nh to bochhaa.D kaa dekhaa hai barasate tumane isii a.ndaaz se thii ashk-fishaanii us kii [mi.nh = water] baat kii tarz ko dekho to ko_ii jaduu thaa par milii Khaak me.n sab sahar bayaanii us kii [sahar = magic] marsi-e-dil ke ka_ii kah ke diye logo.n ne shahar-e-dillii me.n hai sab paas nishaanii us kii [marsiyaa = song/poem of mourning/elegy] ab gaye us ke jo afasos nahii.n kuchh haasil haif sad haif ki kuchh qadr na jaanii us kii [haif = alas!; sad = hundred] We are one month old!!! A new month, a new feature. For the next few weeks, we shall be focusing on one poet per week. This week we shall be featuring Meer Taqi Meer's ghazals. Hope you enjoy it.