ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa
[ibtidaa-e-ishq = beginning of love]
qaafile me.n subah ke ik shor hai
yaani Gaafil ham chale sotaa hai kyaa
[qaafilaa=caravan; Gaafil=one who is careless/ignorant]
sabz hotii hii nahii.n ye sar_zamii.n
tuKhm-e-Khvaahish dil me.n tuu botaa hai kyaa
[tuKhm-e-Khvaahish=seeds of desire]
ye nishaan-e-ishq hai.n jaate nahii.n
daaG chhaatii ke abas dhotaa hai kyaa
Gairat-e-yusuf hai ye vaqt-e-aziiz
'Meer' is ko raayegaa.N khotaa hai kyaa
[Gairat-e-yusuf=Yusuf's honour; aziiz=dear]
|