ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaa_uu.N mai.n
ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaa_uu.N mai.n
ki Khud ko yaad rakhuu.N us ko bhuul jaa_uu.N mai.n
[tajarubaa=experiment]
fareb-e-kaar me.n kuchh to hai ko_ii baat to hai
ki jaan buujh ke itane fareb khaa_uu.N mai.n
[fareb-e-kaar=one who betrays]
vo pal kahaa.N hai.n jo duniyaa se jo.Dataa thaa mujhe
jo paa_uu.N tujh ko to sab ke qariib aa_uu.N mai.n
kabhii to ho mere ehasaas-e-kam_tarii me.n kamii
kabhii to ho ki use khul ke aa_uu.N mai.n
vo shaKhs hai ki nasiim-e-sahar kaa jho.Nkaa hai
bikhar hii jaa_uu.N jo us ko gale lagaa_uu.N mai.n
[nasiim-e-sahar=morning wind]
azaa.N ke baad duaa ko jo haath uThaaye vo
'Imam' apanii namaaze.n bhii bhuul jaa_uu.N mai.n
[azaa.N=call for prayer]
|