kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
kamaal-e-ishq hai diivaanaa ho gayaa huu.N mai.n
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.N mai.n
[kamaal-e-ishq=limits of love]
tumhii.n to ho jise kahatii hai naaKhudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Duubataa huu.N mai.n
[naaKhudaa=boatsman]
ye mere ishq kii majabuuriyaa.N ma'az-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.N mai.n
[ma'az-allah=In the protection of God/at the mercy of God]
is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaa.N sadaqe
jahaa.N se chaahataa huu.N tumko dekhataa huu.N mai.n
[hijaab=veil]
bataane vaale vahii.n par bataate hai.n ma.nzil
hazaar baar jahaa.N se guzar chukaa huu.N mai.n
kabhii ye zom ki tuu mujh se chhup nahii.n sakataa
kabhii ye vaham ki Khud bhii chhupaa huaa huu.N mai.n
[zom=conviction/belief]
mujhe sune na ko_ii mast-e-baadaa-e-isharat
'Majaz' TuuTe huye dil kii ik sadaa huu.N mai.n
[mast-e-baadaa-e-isharat= drunk on the wine of 'isharat' (happiness)]
|