tarz jiine kaa sikhatii hai mujhe
tarz jiine kaa sikhatii hai mujhe
tashnagii zahar pilaatii hai mujhe
[tarz=style; tashnagii=thirst]
raat bhar rahatii hai kis baat kii dhun
na jagaatii hai na sulaatii hai mujhe
ruuThataa huu.N jo kabhii duniyaa se
zindagii aake manaatii hai mujhe
aa_iinaa dekhuu.N to kyuu.Nkar dekhuu.N
yaad ik shaKhs kii aatii hai mujhe
ba.nd karataa huu.N jo aa.Nkhe.n kyaa kyaa
roshanii sii nazar aatii hai mujhe
ko_ii mil jaaye to raastaa kaT jaaye
apanii parachaa_ii Daraatii hai mujhe
ab to ye bhuul gayaa kis kii talab
des parades phiraatii hai mujhe
[talab=desire]
kaise ho Khatm kahaanii Gam kii
ab to kuchh nii.nd sii aatii hai mujhe
|