biimaar hai.n to ab dam-e-isaa kahaa.N se aaye
biimaar hai.n to ab dam-e-isaa kahaa.N se aaye
us dil me.n dard-e-shauq-o-tamannaa kahaa.N se aaye
[dam-e-isaa=breath of Jesus]
bekaar sharaa-e-lafz-o-maanii se faayedaa
jab tuu nahii.n to shahar me.n tujh saa kahaa.N se aaye
har chashm sang-e-Khizb-o-adaavat se surKh hai
ab aadamii ko zindagii karanaa kahaa.N se aaye
[chashm=eye; sang=stone; Khizb=lies; adaavat=spite; surKh=red]
[zindagii karanaa=to live life; to make something of life]
vahashat havas kii chaaT ga_ii Khaak-e-jism ko
be-dar gharo.n me.n shaql kaa saayaa kahaa.N se aaye
[vahashat=terror; havas=lust; Khaak=dust]
[jism=body; be-dar=without doors; shaql=face]
ja.D se ukha.D gaye to badalatii ruto.n se kyaa
be-aab aa_iino.n me.n saraapaa kahaa.N se aaye
[ja.D=root; be-aab aa_iinaa=a mirror incapable of reflecting images]
[saraapaa=from head to toe/full image]
saayo.n pe aitamaad se uktaa gayaa hai jii
tuufaan me.n zindagii kaa bharosaa kahaa.N se aaye
[aitamaad=faith]
Gam ke thapere le gaye naagi.n se lambe baal
raato.n me.n ja.ngalo.n kaa vo saayaa kahaa.N se aaye
'Naheed' faishano.n ne chhupaaye hai.n aib bhii
chashme.n na ho.n to aa.Nkh kaa pardaa kahaa.N se aaye
[fashione.n=fashion; aib=fault]
|