duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa
Khwaja Mir Dard
duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa
par muu.Nh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa
phiratii hai merii khaak sabaa dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkabaar ye kyaa tujh ko ho gayaa
aagaah is jahaa.N me.n nahiii.n Gair be Khudaa.N
jaagaa wahii idhar se jo muu.Nd aa.Nkh so gayaa
tuufaan-e-noah ne to Dubaaii zamiin faqat
mai.n nang-e-khalq saarii Khudaaii Dubo gayaa
baraham kahii.n na ho gul-o-bulbul kii aashatii
Darataa huu.N aaj baaG me.n wo tu.nd khuu gayaa
waaiz kise daraawe hai yom-ulhisaab se
giriyaa.N meraa to naamaa-e-aamal dho gaya
phule.nge is zabaa.N me.n bhii gulzar-e-maarafat
yaa.N mai.n zamiin-e-sher me.n ye tukhm bo gayaa
aaya na aitadaal par haragiz mazaaj-e-dahar
mai.n garche garm-o-sard-e-zamaanaa samo gaya
aye "Dard" jis kii aa.Nkh khulii is jahaa.N me.n
shabanam kii tarah jaan ko apanii wo ro gayaa