pahalaa salaam
ek rangiin jhijhak ek saadaa payaam
kaise bhuuluu.N kisii kaa vo pahalaa salaam
phuul ruKhsaar ke ras_masaane lage
haath uThaa qadam Dag_magaane lage
rang-saa Khaal-o-Khad se chhalakane lagaa
sar se rangiin aa.Nchal Dhalakane lagaa
ajanabiyat nigaahe.n churaane lagii
din dha.Dakane lagaa lahar aane lagii
saa.Ns me.n ik gulaabii girah pa.D ga_ii
ho.nTh tharraaye simaTe nazar ga.D ga_ii
rah gayaa umr bhar ke liye ye hijaab
kyo.n na sambhalaa huaa de sakaa mai.n javaab
kyo.n mai.n be-qasd be-azm be-vaastaa
duusarii samt ghabaraa ke takane lagaa
|