Home | Index of Poets Kaifi Azmi

aavaaraa sajde


ik yahii soz-e-nihaa.N kul meraa sarmaayaa hai
dosto mai.n kise ye soz-e-nihaa.N nazr karuu.N
ko_ii qaatil sar-e-maqtal nazar aataa hii nahii.n
kis ko dil nazr karuu.N aur kise jaa.N nazr karuu.N?

tum bhii mahaboob mere tum bhii ho dil_daar mere
aashnaa mujh se magar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n
Khatm hai tum pe masiihaa_nafasii chaaraagarii
meharam-e-dard-e-jigar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n

apanii laash aap uThaanaa ko_ii aasaan nahii.n
dast-o-baazuu mere naakaaraa hue jaate hai.n
jin se har daur me.n chamakii hai tumhaarii dahaliiz
aaj sajde vohii aavaaraa hue jaate hai.N

duur manzil thii magar aisii bhii kuchh duur na thii
leke phiratii rahii raste hii me.n vahashat mujh ko
ek zaKhm aisaa na khaayaa ke bahaar aa jaatii
daar tak leke gayaa shauq-e-shahaadat mujh ko

raah me.n TuuT gaye paa.Nv to maaluum huaa
juz mere aur meraa rah_numaa ko_ii nahii.n
ek ke baad Khudaa ek chalaa aataa thaa
kah diyaa aql ne tang aake 'Khudaa ko_ii nahii.n'

Contributed by Guri

Home | Index of Poets Kaifi Azmi
Maintained by Nita Awatramani
URL: http://www.urdupoetry.com
Last updated on: 12th May, 2002