vatan ke liye
yahii tohafaa hai yahii nazaraanaa
mai.n jo aavaaraa nazar laayaa huu.N
rang me.n tere milaane ke liye
qataraa-e-Khuun-e-jigar laayaa huu.N
ai gulaabo.n ke vatan
pahale kab aayaa huu.N kuchh yaad nahii.n
lekin aayaa thaa qasam khaataa huu.N
phuul to phuul hai.n kaa.NTo.n pe tere
apane ho.NTo.n ke nishaa.N paataa huu.N
mere Khvaabo.n ke vatan
chuum lene de mujhe haath apane
jin se to.Dii hai.n ka_ii zanjiire.n
tuune badalaa hai mashiyat kaa mizaaj
tuune likhii hai.n na_ii taqdiire.n
inqalaabo.n ke vatan
phuul ke baad naye phuul khile.n
kabhii Khaalii na ho daaman teraa
roshanii roshanii terii raahe.n
chaa.Ndanii chaa.Ndanii aa.ngan teraa
maahataabo.n ke vatan
Contributed by Khursheed Ahmed
|