Khaamoshii kaa samaa.N hai aur mai.n huu.N
Josh Malihabadi
Khaamoshii kaa samaa.N hai aur mai.n huu.N
dayaar-e-Khuftagaa.N hai aur mai.n huu.N
[dayaar-e-Khuftagaa.N=world of sleeping people]
kabhii Khud ko bhii i.nsaa.N kaash samajhe
ye sa_ii-e-raayagaa.N hai aur mai.n huu.N
[sa_ii-e-raayagaa.N=futile attempt]
kahuu.N kis se ki is jamahuuriyat me.n
hujuum-e-Khasaravaa.N hai aur mai.n huu.N
[hujuum-e-Khasaravaa.N=mob of kings]
pa.Daa huu.N is taraf dhuunii ramaaye
ataab-e-rah-ravaa.N hai aur mai.n huu.N
[ataab-e-rah-ravaa.N=wayfarers' wrath]
kahaa.N hai ham-zabaa.N allaah jaane
faqat merii zabaa.N hai aur mai.n huu.N
[faqat=merely]
Khaamoshii hai zamii.n se aasmaa.N tak
kisii kii daastaa.N hai aur mai.n huu.N
qayaamat hai Khud apane aashiyaa.N me.n
talaash-e-aashiyaa.N hai aur mai.n huu.N
jahaa.N ek jurm hai yaad-e-bahaaraa.N
vo laafaanii Khizaa.N hai aur mai.n huu.N
[laafaanii Khizaa.N=eternal autumn]
tarasatii hai.n Khariidaaro.n kii aa.Nkhe.n
javaahir kii dukaa.N hai aur mai.n huu.N
[javaahir=jeweller]
nahii.n aatii ab aavaaz-e-jaras bhii
Gubaar-e-kaaravaa.N hai aur mai.n huu.N
[aavaaz-e-jaras=sound of bells]
[Gubaar-e-kaaravaa.N=dust left behind by a caravan]
ma'al-e-ba.ndagii ai "Josh" taubaa
Khudaa-e-meharabaa.N hai aur mai.n huu.N
[ma'al-e-ba.ndagii=fruits of one's worship]