tamaan umr azaabo.n kaa silasilaa to rahaa
Jan Nissar Akhtar
tamaan umr azaabo.n kaa silasilaa to rahaa
ye kam nahii.n hame.n jiine kaa hausalaa to rahaa
guzar hii aaye kisii tarah tere diivaane
qadam qaadam pe koii saKht marhalaa to rahaa
chalo na ishq hii jiitaa na aql haar sakii
tamaam vaqt maze kaa muqaabalaa to rahaa
mai.n terii zaat me.n gum ho sakaa na tuu mujh me.n
bahut qariib the ham phir bhii faasalaa to rahaa
ye aur baat ki har chhe.D laa_ubaalii thii
terii nazar kaa dilo.n se mu_aamalaa to rahaa
[laa_ubaalii=without enthusiasm]
bahut hasii.n sahii wazae-ehatiyaat terii
merii havas ko tere pyaar se gilaa to rahaa