Contributed by Fayaz Razvi
allaah re chashm-e-yaar kii maujiz bayaaniyaa.N
har ik ko hai gumaan ke muKhaatib hamii.n rahe
[maujiz bayaaniyaa.N=happy tales]
Contributed by Fayaz Razvi
hariim-e-husn maanii hai 'Jigar' kaashaanaa-e-asGar
jo baiTho baa_adab ho kar jo uTTho baaKhabar ho kar
laakho.n me.n intekhaab ke qaabil banaa diyaa
jis dil ko tum ne dekh liyaa dil banaa diyaa
pahale kahaa.N ye naaz the ye ishv-o-adaa
dil ko duaaye.n do tumhe.n qaatil banaa diyaa
pasiinaa maut kaa maathe pe aayaa aa_iinaa laao
ham apanii zindagii kii aaKhirii tasviir dekhe.nge
Contributed by Fayaz Razvi
vo mai.n saaf kyuu.N na kah duu.N jo hai farq tujh me.n mujh me.n
teraa dard dard-e-tanahaa meraa Gam Gam-e-zamaanaa
|