kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe
Jigar Moradabadi
kuchh is adaa se aaj vo pahaluu-nashii.n rahe
jab tak hamaare paas rahe ham nahii.n rahe
iimaan-e-kufr aur na duniyaaa va dii.n rahe
ai ishq shaadabaash ki tanahaa hamii.n rahe
yaa rab kisii ke raaz-e-mohabbat kii Khair ho
dast-e-junuu.N rahe na rahe aastii.n rahe
jaa aur ko_ii zabt kii duniyaa talaash kar
ai ishq ham to ab tere qaabil nahii.n rahe
mujh ko nahii.n qubuul do aalam kii vus'ate.n
qismat me.n kuu-e-yaar kii do Gaz zamii.n rahe
dard-e-Gam-e-firaaq ke ye saKht marahale
hairaa.N huu.N mai.n ki phir bhii tum itane hasii.n rahe
is ishq kii talaafii-e-maafaat dekhanaa
rone kii hasarate.n hai.n jab aa.Nsuu nahii.n rahe