tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar
Allama Iqbal
tuu abhii rahaguzar me.n hai qaid-e-makaam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar, paares-o-shaam se guzar
[misr=Egypt; paares=Paris]
jis kaa amaal hai be-garaz, us kii jazaa kuchh aur hai
huur-o-Khayaam se guzar, baadaa-o-jaam se guzar
garche hai dil_kushaa bahot husn-e-firang kii bahaar
taayarek bula.nd baal daanaa-o-daam se guzar
koh shiGaaf terii zarab tujhase kushaad sharq-o-Garab
teze-hilaahal kii tarah aish-o-nayaam se guzar
teraa imaam be-huzuur, terii namaaz be-suruur
aisii namaz se guzar, aise imaam se guzar