"Insha" jii uTho ab kuuch karo is shahar me.n jii kaa lagaanaa kyaa
Insha Allah Khan Insha
"Insha" jii uTho ab kuuch karo is shahar me.n jii kaa lagaanaa kyaa
vahashii ko sukuu.N se kyaa matalab jogii kaa nagar me.n Thikaanaa kyaa
[vahashii=wild; sukuu.N=contentment]
is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii
jis jholii me.n sau chhed hu_e us jholii ko phailaanaa kyaa
[dariidaa-daaman=torn clothing]
shab bitii chaa.Nd bhii Duub gayaa za.njiir pa.Dii daravaaze me.n
kyo.n der gaye ghar aaye ho sajaanii se karoge bahaanaa kyaa
[shab=night]
us husn ke sache motii ko ham dekh sake.n par chhuu na sake.n
jise dekh sake.n par chhuu na sake.n vo daulat kyaa vo Khazaanaa kyaa
us ko bhii jalaa dukhate hu_e man ik sholaa laal bhabhukhaa ban
yuu.N aa.Nsuu ban bah jaanaa kyaa yuu.N maaTii me.n mil jaanaa kyaa
jab shahar ke log na rastaa dekhe.n kyo.n ban me.n na jaa bisraam kare
diivaano.n kii-sii na baat kare to aur kare diivaanaa kyaa
[ban=jungle; bisraam=rest/relaxation]