zaraa sii der ko aaye the Khvaab aa.Nkho.n me.n
zaraa sii der ko aaye the Khvaab aa.Nkho.n me.n
phir us ke baad musal_sal azaab aa.Nkho.n me.n
[musal_sal=continuous; azaab=trouble]
vo jis ke naam kii nisbat se raushan thaa vujuud
khaTak rahaa hai vahii aaftaab aa.Nkho.n me.n
[nisbat=relation]
jinhe.n mataa-e-dil-o-jaa.N samajh rahe the ham
vo aa_iine bhii hue behijaab aa.Nkho.n me.n
ajab tarah kaa hai mausam ke Khaak u.Datii hai
vo din bhii the ke khile the gulaab aa.Nkho.n me.n
mere Gazaal terii vahashato.n kii Khair ki hai
bahut dino.n se bahut iztaraab aa.Nkho.n me.n
na jaane kaisii qayaamat kaa pesh_Khemaa hai
ye uljhane terii be-intasaab aa.Nkho.n me.n
[pesh_Khemaa=ominous sign]
|