thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa
thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa
use to yuu.N bhii kisii aur simt jaanaa thaa
vahii chiraaG bujhaa jis kii lau qayaamat thii
usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa
[zarb=injury; shajar=tree]
mataa-e-jaa.N kaa badal ek pal kii sar_shaarii
suluuk Khvaab kaa aa.Nkho.n se taaziraanaa thaa
[sar_shaarii=intoxication; taaziraanaa=related to trade]
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl
na_ii kitaab kaa ek ek varaq puraanaa thaa
[hikaayat-e-vasl=tales of meetings]
qabaa-e-zard nigaar-e-Khizaa.N pe sajatii thii
tabhii to chaal kaa andaaz Khusrovaanaa thaa
[qabaa=long coat open in front; zard=yellow]
[nigaar=beauty; Khizaa.N=autumn (here referring to desolation)]
[Khusrovaanaa=like an emperor]
|