shole hii sahii aag lagaane ke liye aa
shole hii sahii aag lagaane ke liye aa
phir tuur ke manzar ko dikhaane ke liye aa
[tuur = a mountain; manzar = view]
ye kis ne kahaa hai merii taqadiir banaa de
aa apane hii haatho.n se miTaane ke liye aa
ai dost mujhe gardish-e-haalaat ne gheraa
tuu zulf kii kamalii me.n chhupaane ke liye aa
[gardish-e-haalaat = ; kamalii = ]
diivaar hai duniyaa ise raaho.n se haTaa de
har rasm muhabbat kii miTaane ke liye aa
[rasm = tradition]
matalab terii aamad se hai daramaa.N se nahii.n
"Hasrat" kii qasam dil hii dukhaane ke liye aa
[aamad = coming; daramaa.N = cure]
|