raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahakaa huaa hai aatish-e-gul se chaman tamaam
hairat Guruur-e-husn se shoKhii se iztaraab
dil ne bhii tere siikh liye hai.n chalan tamaam
allaah re husn-e-yaar kii Khuubii ke Khud-ba-Khud
ra.ngiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam
dekho to husn-e-yaar kii jaaduu nigaahiyaa.N
behosh ik nazar me.n hu_ii anjuman tamaam
Contributed by Padmanabhan Srinagesh
Additions by Triparna Das
Corrections provided by Mufazal
|