haq vafaa kaa jo ham jataane lage
Altaf Husain Hali
haq vafaa kaa jo ham jataane lage
aap kuchh kahake muskuraane lage
ham ko jiinaa pa.Degaa furqat me.n
vo agar himmat aazamaane lage
[furqat=separation]
Dar hai merii zubaa.N na khul jaaye
ab vo baate.n bahut banaane lage
jaan bachatii nazar nahii.n aatii
Gair ulfat bahut jataane lage
tum ko karanaa pa.Degaa uzr-e-jafaa
ham agar dard-e-dil sunaane lage
[uzr-e-jafaa=reason for being unfaithful]
bahut mushkil hai shevaa-e-tasliim
ham bhii aaKhir ko jii churaane lage
[shevaa-e-tasliim=style of greeting]
vaqt-e-ruKhsat thaa saKht "Hali" par
ham bhii baiThe the jab vo jaane lage
[vaqt-e-ruKhsat=time of separation; saKht=difficult]