ye mujh se puuchhiye kyaa justajuu me.n lazzat hai
ye mujh se puuchhiye kyaa justajuu me.n lazzat hai
fazaa-e-dahar me.n tahaliil ho gayaa huu.N mai.n
[justajuu=search; lazzat=taste; dahar=world; tahaliil=immersed]
haTaake shiishaa-o-saagar hujuum-e-mastii me.n
tamaam arsaa-e-aalam pe chhaa gayaa huu.N mai.n
[arsaa-e-aalam=whole world]
u.Daa huu.N jab to falak pe liyaa hai dam jaa kar
zamii.n ko to.D gayaa huu.N jo rah gayaa huu.N mai.n
[falak=sky]
rahii hai Khaak ke zarro.n me.n bhii chamak merii
kabhii kabhii to sitaaro.n me.n mil gayaa huu.N mai.n
samaa gaye merii nazaro.n me.n chhaa gaye dil par
Khayaal karataa huu.N un ko ki dekhataa huu.N mai.n
|