masnavi - aamo.n kii taariif me.n
Mirza Ghalib
haa.N dil-e-dard_ma.nd zam-zamaa saaz
kyuu.N na khole dar-e-Khazinaa-e-raaz
Khaame kaa safhe par ravaa.N honaa
shaaKh-e-gul kaa hai gul-fishaa.N honaa
mujh se kyaa puuchhataa hai kyaa likhiye
nuqtaa haaye Khiradafishaa.N likhiye
baare, aamo.n kaa kuchh bayaa.N ho jaaye
Khaamaa naKhle ratabafishaa.N ho jaaye
aam kaa kaun mard-e-maidaa.N hai
samar-o-shaaKh, guve-o-chaugaa.N hai
taak ke jii me.n kyuu.N rahe armaa.N
aaye, ye guve aur ye maidaa.N!
aam ke aage pesh jaave Khaak
pho.Dataa hai jale phaphole taak
na chalaa jab kisii tarah maqaduur
baadaa-e-naab ban gayaa a.nguur
ye bhii naachaar jii kaa khonaa hai
sharm se paanii paanii honaa hai
mujhase puuchho, tumhe.n Khabar kyaa hai
aam ke aage neshakar kyaa hai
[neshakar=gannaa/sugarcane]
na gul us me.n na shaaKh-o-barg na baar
jab Khizaa.N aaye tab ho us kii bahaar
aur dau.Daaiie qayaas kahaa.N
jaan-e-shiirii.N me.n ye miThaas kahaa.N
jaan me.n hotii gar ye shiiriinii
'kohakan' baavajuud-e-Gam_giinii