ghar hamaaraa, jo na rote bhii, to viraa.N hotaa
Mirza Ghalib
ghar hamaaraa, jo na rote bhii, to viraa.N hotaa
bahr gar bahr na hotaato bayaabaa.N hotaa
ta.ngi-e-dil kaa gilaa kyaa, ye wo kaafir dil hai
ke agar ta.ng na hotaa, to pareshaa.N hotaa
baad-e-yak umr-e-waraa, baar to detaa baare
kaash rizawaa.N hii dar-e-yaar kaa darabaa.N hotaa