ibn-e-mariyam huaa kare koii
Mirza Ghalib
ibn-e-mariyam huaa kare koii
mere dukh kii davaa kare koii
[ibn=son; mariyam=The Virgin Mary]
shuraa-o-aa_iin par madaar sahii
aise qaatil kaa kyaa kare koii
[shuraa=the Islamic divine code of life; aa_iin=law]
[madaar=circumference / place of turning ]
chaal jaise ka.Dii kamaa.N kaa tiir
dil me.n aise ke jaa kare koii
[jaa=space ]
baat par vaa.N zubaan kaTatii hai
vo kahe.n aur sunaa kare koii
bak rahaa huu.N junuu.N me.n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
[junuu.N=ecstasy]
na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii
rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii
[baKhsh=pardon, Khata=mistake]
kaun hai jo nahii.n hai haajatama.nd
kisakii haajat ravaa kare koii
[haajatama.nd=person in need; haajat=need; ravaa=fulfill]
kyaa kiyaa Khijr ne sika.ndar se
ab kise rahanumaa kare koii
jab tavaqqo hii uTh gayii "Ghalib"
kyo.n kisii kaa gilaa kare koii
[tavaqqo=expectations; gilaa=complaint]